Latest Banking jobs   »   IBPS PO: INTERVIEW EXPERIENCE 64

IBPS PO: INTERVIEW EXPERIENCE 64

IBPS PO: INTERVIEW EXPERIENCE 64 |_2.1
Name- Nandan Bhagat
Branch- M.A. Economics
venue- Mapplewood hotel, Ranchi
Time & date- 19 jan 2016, 8.30 am
Panel- 3
Interview time- 10.30 am

Dosto, mai bahut time se bankers adda follow karta rha hu. Maine isse pahle RRB PO aur clerk ka v interviews diya tha aur usme kuch khas kar nhi paya aur selection v na ho paya, iss karan se iss bar socha tha k kuch v ho jaye pura confidence rakhna hai aur puri vinamrata se jawab dena hai aur soch liya tha kuch ho jaye confidence nhi khona hai warna Andhra bank PO zindabad:) ummid karta hu baki logo ko isse help milegi kyuki mere Economics subject hone k karan humesha mujhe isse hi questions jada puchhe jate rhe hai.

Entry hone k bad hume Panel wise seats me wait karne k liye baithaya gya fir documents verify hua. Waha par baithe aadmi ne hi sawal puchhna shuru kar diya- kya-kya padh k aaye ho? development bank jante ho?, KYC kya hota hai?, PJDY, PBSY, NPA..etc.ect. suggest kiya jo bolo sahi se body posture k sath confidence me kaho. maine usko thanks kiya k mera aadha interview yahi le liya.
Interview room me total 5 log the, 4 male & 1 female. par questions sirf 3 males ne hi puchha. Sabko Good Morning wish kiya aur mujhe baithne ko kaha gya, thanks karke baith gya.

M1- Introduce urself?
me- Sab bataya apna address k sath maa- pitaji ka names, school, college, hobbies.

M2- Achcha 2011 me B.A. kiye fir itne sal kya kiya?
me- Sir uske bad M.A. kiya.

M2- 4 sal lag gye M.A. karne me?
me- Sir, mera Ranchi university me ek to 6 mahine session late tha aur 2 papers back lag gya tha to clear karte thoda time lag gya.

M2- Fir M.A. complete ho gya na? kitna percent aaya?
me- Ji sir, 62.75%

M3- Economics me 2015 ka nobel prize kisko aur kiske liye mila?
Me- Sir, Angus Deaton ko analysis of poverty, consumption & welfare k liye.

M2- Aur kisi Indian ko mila tha nobel prize, wo kiske liye mila tha?
me- (mujhe pata nhi tha k kiske liye mila tha to tukka mar diya) Sir, Shri Amartya Sen ko Human Development Index k liye.

M1- HDI kya hota hai?
me- Sir, ye index hota hai jisme kisi v desh k human resource k development ko mapa jata hai, jisme life expectancy, education aur purchasing power k anusar 0.1-1.0 rating ki jati hai.

M1- India ka kitna rank hai?
me- Sir, thik se pata nhi par ek bar 119th rank padha tha.

M2- Indian economy k bare me batao?
me- Sir, Indian economy teji se viksit hoti economy hai jiska world me 7th largest economy hai. avi k time me India ki world me export-import kafi badha hai agle 10 salo me ye world ka 3rd largest economy ban jatega.

M3- GDP me sabse jada yogdan kiska hai?
me- Sir, service sector ka jisme bank, insurance aate hai.

M3- Hal me PM Modi ne agriculture k liye kon sa nara diya tha?
me- sabka sath sabka vikas

M3- Ye to universal nara hai, real me unhone kaha tha-@##$$^%& (mai bhool gya)

M2- Tumne apna answer pura nhi diya tha Indian Economy k bare me.
me- sir Indian economy avi modest rate se develop kare rha tha, yah next decade me USA aur china k bad world ka 3rd largest econmy ban jayega.

M2- China ka GDP growth rate kitna hai?
me- Sir exact pata nhi par pichhle kuch dashak se iska growth rate double digit tha par iss sal se iski growth rate me giravat aayi hai.

M1- Bank ka Indian GDP me kaise apna yogdan deta hai?
me- Sir, Indian logo me saving karne ki bahut chamta hai use bank promote karta hai aur kisi v needy person ko loans deta hai. avi Mudra bank, PJDY k dwara financial inclusion badha hai aur start-up yojana k tahat bank enterpreneurs ko loan deta hai jisse wo development me apna yogdan dete hai.

M2- Isme v bank k samne NPAs ki badi problem hai.

M3- Amrtya Sen ne India k nuclear test aur nuclear plants k development ko lekar kuch bayan diya tha jiska APJ Abdul Kalam ne v aalochna ki thi, kya kaha tha?
me- sir 1998 ki bat hai mujhe kuch malum nhi.

M3- Nhi unhone hal me kuch kaha tha.
M1- chhodo iss question ko, isne kaha na ise malum nhi hai.

M2- Achcha T.V me kon sa channel jada dekhte ho?
me- sir, mai T.V ,me jada news channels hi dekhta hu.

M2- News channels me kya?
me- news channels me ABP news aur ZEE news:)

fir sabne best of luck kaha aur mai thank u kah k bahar aa gya.Mai sabko suggest karunga k interview k liye bas khud par confidence rakhe aur jo v kahe pure confidence me bole aur panel k log bahut supportive hote hai, wo jante hai k hum sare exams pass karke aaye hai bas check karte hai hum kaise apni bat kah pate hai aur banks ko humesha se confident aur polite person ki khoj rahti hai. agar aap koi question ka answer nhi jante to koi tension nhi hai ye bat wo v jante hai k kon sa question ka answer pata hona chahiye. Best of luck 4 future aspirants.



NAME: G.LALITESH BABU
TIME: 1.00PM
PLACE: ANDHRA BANK, ZONAL OFFICE , VIJAYAWADA

THERE ARE FOUR MEMBERS IN THE PANEL M1 M2 F1 M3.M2 IS THE CHAIRMAN WHOLE INTERVIEW WAS VERY COOL AND POLITE CONVERSATION WAS BETWEEN ME AND CHAIRMAN MOSTLY.MY SLOT WAS AT 1.00PM I AM THERE AT 12.30PM
 MY CHANCE CAME AROUND AT 5.00PM.I KNOCKED THE DOOR MAY
ME: MAY I COME IN SIR
M2: YES PLEASE 

ME: WISHED ALL OF THEM GOOD EVENING
M2: PLEASE BE SEAD 

ME: THANKU SIR
TO MY SURPRISE THE QUESTIONS WERE DIRECT.THERE WERE SOME PERSONAL QUESTIONS SITUATION BASED QUESTIONS WERE ASKED THEY WERE AWESOME LATER SOME BANKING QUESTIONS LIKE PMJDY,ACCOUNTS IN BANK ETC,OVERALL IT WENT AROUND 13-14MIN

SO, FREINDS ALL QUESTIONS WERE BASED ONLY ON MY ANSWERS BE VERY KEEN THAT YOU ARE AWARE OF WHAT YOU ARE ANSWERING SOMETIMES SAYING NO IS THE BEST ANSWER.HOPING FOR A POSITIVE RESULT WISH ME ALL THE BEST WISHING YOU ALL A GOOD LUCk HARDWORK ALWAYS WINS FRIENDS SO NEVER GIVE UP KEEP TRYING 
All The Best!!!!


Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *